Monday, October 1, 2007

mithaas

Zindagi ne poocha ek mithaas bhara sawaal.
Kitna aacha hota agar –
Meetha hota sabka dil. Meethi hoti sabki zubaan.
Meethe hote sapne. Meethi sabki muskaan.
Meethi hoti haar, jaise meethi hoti hai jeet.
Meethe hote log aur meetha saara jahan.

Zindagi mein zaroor hai kuch mithaas.
Yaad hai woh pehle pyaar ka ehsaas?
Woh pehli mulakaat.
Exam mein kisi tarah paas hone ki aas.
Teacher ki daant mein bhi tha kuch khaas.
Jaawani ki muskurahat aur doston ki shararat mein – kuch meethi si thi woh baat.

Zindagi ke har khatte mein bhi hai meethe ka kuch swad.
Meethi yaadon se piroya gaya hai zindagi ka har ehsaas.
Kal toh beet gaya, Aaj mein hai kuch khaas.
Kyon na har pal ghole apni aur doosron ki zindagi mein
... kuch mithaas.

Copyright © Santosh K

1 comment:

phantasmagoria said...

hey. was refraining from leaving a comment earlier, cause i couldn't think of words that could match up to those in your post. it's lovely. lets just put it that way. =)