Monday, October 1, 2007

bikhri yaadein

Raah mein chalte huaye, kuch umeedon ko bikhra paya.
Yaadon ka paani, meri aankhon mein samaya.

Kuch maa ki prathana, kuch babuji ke sapne,
Kuch bhai ki khwahishein, aur kuch, khud ke armaan.

Oas ki boondon ki tarah, zindagi lagne lagi hai mujhe halki.
Khud pe hai bharonsa aur mushkilen lagne lagi hain mujhe halki.

Rok nahin sakta hai koi meri icchaon ki tej leharon ko,
Dekhna hai mujhe aasmaan ke aage ka jahan.

Kal se acha hai mera aaj, aaj se behtar hoga mera kal,
Iss vishvaas se…
ek naye sooraj ki taalash mein chala ja raha hoon mein,
Har chote bade armaan ko poora kiye ja raha hoon mein.

Copyright © Santosh K

No comments: